Saturday, July 31, 2010

ANUBHAV KA VIKALP NAHI…….

Experience and age ke importance ko samjhne ke liye chaliye ek chhoti si management ki story ka majha lete hai! Ek baar old woman apne bude paltu shwan k sath jangal me ghumne gai, shwan jangal me old woman k sath ghum raha tha, achanak vah kisi chhote janwar ko dekhta hai or uske pichhe dorta hai, kuchh samay baad use pata chalta hai ki wah jangal me kho gaya. Itne me durse ek yuva chite ki nazar shwan par padti hai or vah teji se shikar karne ki niyat se shwan ki aor dorta lagana shuru kar deta hai. Shwan sochta hai ki aaj to jaan gai. Itne me uski nazar pass pari haddiyon par parti hai.vah chite ki taraf pith karke haddiya chawane lag jata hai. Jaise hi chita pass hai tab shwan jor se chillata hai ki kya swadist chita tha, kash..! yesa ek or chita khane ko milta. Yah sunte hi yuva chita ruk jata hai or khud se kahne lagta hai ki aaj to jaan bach gai nahi to yah shwan mujhe kha jata.Dono par ek bandar ki nazar thi, jo sabkuchh dekh raha tha. Bandar ne socha ki chalo iska faida uthaya jaye or chite ko sach batakar usse suraksha ki gaaranti li jaye. Yuva chite ne jab asliyat jani tab vah gusse se bhar gaya or apni pith par bandar ko bithakar fir se shwan ko khane nikala. Old shwan ne dono ko apni aor aate dekha. Usne hausla nahi khoya or na hi dar ko hawi nahi hone diya. Jaise hi dono pass aaye, usne jor se kaha ki are kaha gaya vo bandar…mujhe bol gaya tha ki khane ke liye ek or chite ko taiyar karke lata hu. Yah sunkar chita bhi bhag gayaor uske pahle bandar vaha se bhag chuka tha .Dosto old shwanne dhairiye or saahas na khokar paristithi ka badi hi nidarta ke sath samna kiya. Vahi yuva chite ke pass taakat hone ke bavjud vah dar gaya. Baat saaf hai kisi bhi kshetra me anubhaw ka koi wikalp nahi hai. Fir chahe vah Engineering ka kshetra ho ya Chikitsa ka ya fir anya koi kshetra . Anubhavi vyakti se jab bhi sikhne ko mile, Uska faida jarur uthaye. Viprit paristithiyo se saamna karne ke liye aapko kitabi gyan nahi, Anubhavi vyakti ka hi saath kaam aayega………………….!

1 comment: