Saturday, January 22, 2011

BOLKAR DEKHO DO MEETHE BOL.........

Vinamrata se kisi bhi vyakti ka dil parivartan ho jata hai. Yah yesi cheej hai jopatthar  me phool khila deti hai, banjar jameen ko upjau bana deti hai . yah dil se dil par asar dalti hai. Aur bhawanahin vyakti ko bhi bhitar tak jhakjhor deti hai,use rupantarit kar deti hai. Use jamidaar ki tarah………
Prasidhh  sant tiruvallur ki vinamrata aur dheriyepurn subhav ki prisidhhi charo aur pheli hui thi. Ve kapde ka business karte the. Sabhi unke prempurn suvabhav ke kayal the aur dil unka samman karte the. Ve jis state me rahte the, vha ek jamidaar rahta tha. Vah bahut akkad subhav ka tha, aur pure state me apni badmijaji ke liye badnaam tha.  Vah logon ko dhamka kar, jabardasti paise aur saman basulta tha..
Sant ke madhur vyvhaar ki har jagah tariff sunkar jamidaar ko unse jalan hone lagi.  Ek din usne socha- chalo is mahatma se milta hu aur dekhta hu ki vah kitna sadhu subhav ka hai. Vah tiruvallur ki dukaan par pahucha aur saadi dikhane ke liye kaha.  Sant ne use ek saadi dikhai. Jamidaar ne puchha-  yah kitne ki  hai ?   sant ne bataya-  100 aane ki.  Yah sunkar jamidaar ne us saadi ko do tukdo me faad diya aur uske baad fir keemat puchhi.  Sant ne shanty se kaha-  50 aane.  Uski harkat se naaraj huye bina  Tiruvallur mradul muskaan ke saath use bole-  25 aane.  Iske baad jamidaar ne ek ke baad ek saadi ke tukde karta raha aur kimat puchhata raha.  Sant bhi bina naraj-  huye use kimat batate rahe. Ant me saadi ke chhote- chhote tukde ho gaye. Sant ko use dikhakar vah jamidaar bola-  yah to kapdo ke tukde hai, inki bhala kya kimat hogi ?  main to inhe nhi khariduga.  Tiruvallur bole-  tum thik kahte ho.  Ye tukde tumhare kisi kaam ke nahi hai. Inki koi kimat nhi, tum ise mat kharido.  Yah sunkar jamidaar pani-pani ho gya. Aur sant se apne vyvhaar  ke liye mafi mangi.  Nuksan hone ke babjud  bhi Tiruvallur ki vinamrata- dheriye ne us par gahre tak asar dala tha. Us ghatana ke baad uska vyvhaar sabke prati prempurn ho gya . vinamrata yesi hi hoti hai , yah vykti ko bhitar tak prabhavit karti hai. Yah itni sankramak hai ki subhav aur aadato ki sarhado ke pare jakar apna asar dikhati hai aur vyakti ki chetana par visfot karti hai . yaad rakhiye, shashtro me ise gyaani ka Aabhushn kaha gaya hai.  Yadi aap vinamra nahi hai to aap sachche gyani nahi hai…….!!!!!!!!!!!!!!!