Wednesday, April 27, 2011

DIFFERENT BETWEEN MIND AND HEART


Akshar man aur herday ko hum ek hi samjhte hai hum kahte bhi hai ki man lagakar kaam karo, main use man se chahta hu, uske bager mera man nahi lagta etc. aur isi ko hum apne dil ki aavaz mante hai……….

Lekin man aur herday me bahut fark hai. Heart means seene me dhadakte maas ke tukde matra dil se nahi hai heart bhawnao, sambednao, dya, karuna, prem aur shradha ka pratik hai. Heart mitna janta hai, bnana janta hai, heart ke pass muan hai heart urja ka surot hai. Man ke pass utter hai, tark hai, karan hai, shabd hai, badala hai, irshya hai, pritisprdha, jama – ghat sab hai.dil ko sab svikaar hai, lekin man ke pass inkaar bhi hai. Heart takat hai, par man kamjori hai. Dil ek hai, ek hone me yakin rakhta hai. Man do hai,ha ya na hai, main aur tum hai, anko ki duad hai. Dil anubhav hai, yatra hai , herdaya swabhav hai, prakritik hai,man dikhava hai, ek hod hai, man jimmedari hai aadat hai, hod man kisi ko apna banana me ykin rakhta hai. Dil anjaan hai, man chalak hai. Dil bekhabar hai, man ko sab khabar hai. Man talab hai, dil mahasagar hai. Talab yani kichad, mal, thahra hua ganda jal, uthala huaa simit aur sagar yani bahav gati, ratno ki khan, gahrai asimitata. Dil prem hai, jo man chahta hai. Prem ka koi vikalp nhi. Prem me kuchh biprit nhi. Chahat nafrat me badal sakti hai. Pasand, na pasand ho sakti hai. Jab bhi koi rista ya bandhan yesi avastha se gujare,samjhana vh chahat hai, kyoki vh man se aa rha hai, man ka arth hi do hai. Fir riste hume samjhote, wade aur majburiyo par tikane padte hai. Lekin prem ke liye koi biprit shabd shabdkosh me bhi nhi hai. Prem kabhi aprem nhi ho sakta, vh hota hai……… har haal, har sthiti, paristhiti me hota hai. Lakh bahane kar lo, koi nafrat, koi badle ki bhavna janm nhi leti. Prem ko sab svikaar hai

No comments:

Post a Comment