Saturday, March 26, 2011

PYAAR BHI SAJA BAN JATA HAI..........

Pyaar karne se kya hota hai ? Man ko saja milti hai. Ha shayad jankar aap chauk gaye honge, par yahi sachchai hai….. 


Hum apne pyaar ko puri tarah dusro ko batna chahte hai. But jo log ise pane ki yogyta nahi rakhte, ve hume pyaar ke badle dhukh hi dete hai. Hum yah sochte hai ki pyaar ki koi sima nahi hai. Nahi honi chahiye. But bastaw me sima badha pyaar hi pavitra aur shashvat hota hai. Premi-pramika, Maa-Baap, Bhai- Bahin, Pati-Patni, Bachche, Dost….. in sab se pyaar kiya jata hai. par yah bhi agar pyaar ek sima ko par kar jaye to anarth hi hota hai. Yah sach hai.

Kabhi ek Jodi ko dekhkar samajh lete hai ki inme bahut pyaar hai. Do doston me aatmiyata dekhne me aati ahi. Par un dono ke bich ka pyaar saman nahi hota hai. Kisi ka jyada to kisi ka kam hota hai. Ek palda hamesha jyada bhari hota hai. Hume jab pyaar ka nasha chad jata hai to us vyakti ke pichhe – pichhe bhagte hai. is se ve humara aadar karna chhod dete hai. Sir chad jate hai. sir chad jane ke baad bhi chupchap nahi bethate, balki nachne lagte hai. Hume taklif hoti hai. But pyaar ke karan sah lete hai. Yah jan kar ve hume aur satane lagte hai. Humari taklif se unhe khushi milti hai. Humare is pagalpan ko dekhkar ve yah samjh lete hai ki, ‘Humare shiva iska koi nahi hai. Isliye humse itna pyaar karta hai,

So attention please. Apne-apne pyaar ko kabu me rakhiye tabhi dusra bhi apni sima me rahega . kinare ke andar bandha rahne vale samundra ki tarah jo pyaar sima me ho, gambhir ho, vahi sundar aur sukhad hota hai. VAHI SACHCHA PYAAR HAI…!!!!!!!!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment