Saturday, October 8, 2011

Humari humesha yahi koshish rahti hai


Humari humesha yahi koshish rahti hai ki hum thik-thik ho, logon ke kam aaye aur iska hmesha dhyaan rakhe ki hum is koshish me kamyaab rahe. Dheriye ke saath har problem se jujhate huye din-raat parishram karte rahte hai. Naam kamate hai.
Ghar ke sadasy khush rahte hai to hume behad ghamand hota. Sab log hume shabashi dete hai to phula nahi samate..
Lekin job hi karna ho iske liye sharer ko suvsth rahana ahi. Yah baat jante huye bhi hum laparvahi karte hai. Koi bimari pakad legi to ilaaj ke liye Doctor log hai, yhi sochkar apna khyaal nahi rakhte. Paise se dava kharidi ja sakti hai, but suvsth nhi kharid sakte. Bada sa palang kharida ja sakta hai, but need nahi. Sair ke liye kisi jagah par jaya ja sakta hai, but vaha jakar khushi ka anubhaw hi hoga is ko nishchit rup se kah nahi sakte..
Ye chhoti chhoti baate hum jante hai fir bhi inki upeksha karte hai. Din me kam se kam  aabha ghanta bhi sharer aue man ko aaram aur shanty dilane ke liye alag se nahi rakh pate hai. Use time best samajhkar kaam me lage rahte hai. Yah ek bada anyaay hai jo hum apne prati kar rahe hai. Sharer ya man ki peeda ko khud ko bhugatana padta hai. Koi use baat nahi sakta. Yah mitti ka sharer to humara saath ant tak nahi  chhodtewala hai. Yah puri tarah haum par hi nirbhar hai. Aap achchha kaam kare ya bura, uska asar to sharer ko hi bhogna hai.
Ashashwat sharer hi humare prano ko vahan kiye huye hai. Sukhkar mitti me ek din mil janewala yah sharer hi humari khushi ka mul aadhar hai….
Apne aapko nakarkar dusron ka uddhar karnewala prani is sansar me kahi nahi hai aur dusro ko bhi taar sakta hai……………|

No comments:

Post a Comment